OSHEA HERBALS PAPAYACLEAN FACE WASH REVIEW/BEST ANTI BLEMISHES FACE WASH

:::Oshea herbals papayaclean face wash review//best anti blemishes face wash:::


Hello guys, aaj mein apke sathe jo product ke review karne wali hoon woh hain OSHEA herbals papayaclean face wash, yeh ek anti blemishes face wash hain, toh friends aaye jaan lete hain ki ager aap ke face par blemishes hain toh kiya yeh face wash aapko kharid na chahiye yea nahi.

Toh friends phele haam yeh jaan lete hain ki, kiya face wash hanare skin ke liye jaruri hain , toh friends haan face wash hamare skin liye  bohot jaruri hain, kiuki friends haam jab bhahar jate hain tab hamare skin par jo hain pollution ke karan hamare skin par bohot sare ghadegi rehejati hain toh friends uss ghandegi ko nikalne ke liye haame jo hain face wash karne hi parti hain, friends hamare skin kabhi kabhi bohot oily or chipchipi ho jate toh friends tabhi bhi hame face wash karni parti hain,toh friends aise hi bohot sare karan hoti hain.


Friends aayea aab baat karte hain blemishes ke bare mein toh friends blemishes matlab kiya hain friends hamare skin par kabhi kabhi spot, uneven skin tone, daag dhabba ho jati hain toh  usse blemishes kahte hain,

Guys hamare skin par blemishes hone ke bohot sare karan hoti hain friends isske karan pollution bhi hoti hain, friends haam sabhi ko toh pata hi hain ki aaj ki date mein pollution kitne jayada ho gayi hain, aur friends isse beech ager haam hamaare skin ki dhayan na rakhe toh friends blemishes ki problems toh haame hohi jate hain.

Guy jab hamare skin par blemishes ho jati hain tab ham bohot sare home remedy beauty recepi ,bohot sare product use karte hain usse dur karne ke liye lakin friends ager haam phele se hi kuch baato ka dhayan rakhe toh friends haame yeh sab problem aayegi hi nahi,

Toh friends ayea aab jaan teh hain ki hamme koun koun si baato ki dhayan rakhni chahiye, ke jeese hame blemishes jaise problem na ho paye,



Guys phele aapko apke skin ke liye  ek routine ready kani padegi, phir aapko yeh baat hamesha dhyan rakhni hogi ke apka jo skin hain woh hydrate rahe,

Next guys apko yeh baat dhayn rakhni hogi ke aap jab bhar jaye tab aap jo hain sunscreen jarur lagaiye kiuki friends hamare skin sabse jayada damaged hoti hain jab haam bhar bohot dhoop mein jayea aur sunscreen na laga ke bhar chale jayea tab,

Friends haam log kiya karte hain ki, haam summer mein jab bhar jate hain tabh toh haam sunscreen laga teh hain lakin friends haam jab winter mein bhar jate hain tab sunscreen nahi lagate , toh friend hame yeh baat hamesha se yaad rakhni chahiye ki chahe winter ho yea summer haam jab bhi bhar jaye tabh hame sunscreen lagane chahiye, kiuki koi bhi mousoum ho dhoop toh nikal te hain toh friends sun hamare skin ko damaged kar shakti hain toh jab haam bhar jaye hame sunscreen apply karke hi bhar jana chahiye.

Friends aise he hame jo hain night time skin care routine jo hain woh follow karni hi chahiye kiuki friends raat ki time mein hanare jo skin hain woh repairing mode mein hoti hain toh guys raat ko haam jo bhi kuch apne face par lagate hain usse kaam karne mein jayada time milte hain, toh guys iss liye haame chahiye ek proper night time skin care routine,

Toh guys haam ager phele se hi aaise apne skin ko dhayan mein rakh te hain toh friends hame kabhi blemishes jaise problem hogi he nahi,



Guys abb jaan lete hain oshea herbals PAPAYACLEAN face wash ke bare mein.


Guys yeh ek anti blemishes face wash hain, aur yeh face wash paraben aur silicon free face wash hain, aur friends iss mein papaya hain, aur haam jaan teh hain ki papaya jo hain hamare skin ke liye kitne faide deti hain, papaya hamare skin ko glowing karti hain, hamare skin ki dark spots ko bhi remove karti hain aur hamare skin ki blemishes ko bhi kam karti hain.
 OSHEA herbals yeh kahati hain ki yeh ek unique face wash hain jo ki papaya extract ko scientifically use kiya hain,jo ki skin ko deep clean karti hain, blemishes ko lighten karti hain, impurities ko remove karti hain, aur regular use karne se face clean, fresh and  glowing hoti hain.

::kaise use kare OSHEA herbals PAPAYACLEAN face wash::


Friends aap apke face aur neck par circular motion mein lagaiye, aur phir wash karle, phir aap oshea herbals Cocoahony moisturizer laga shakte hain, nahi toh friends aap jo bhi moisturizer use karte hain usse laga shakte hain.

:::Ingredients:::


Aqua glycerin, stearic acid, myristic acid, Palmitic acid, potassium hydroxide, sodium methyl cocyl taurate coconut fatty acid, cocoamidopropyle betain, alovera extract, papaya extract, licorice extract, mulberry extract, xylitylglucoside and anhydroxylitol and xylitol, cetyl alcohol, ethylene glycol monostearate, phenoxy ethanol, lmid urea, vitamin E, fragrance, color sunset yellow.

M. R. P. R. S 125/-


Apko local market se todi discount pe mil jayegi, aur online bhi Avalavvel hain.

:::meri experience kaise rahi oshea herbals PAPAYACLEAN face wash ke sath:::


Friends mene phele bar yeh face wash kharidi, aur  meri jo personal experience hainn iss face wash ke sath wohi mein apke ka sath share karni wali hoon. Toh friends oshea herbals PAPAYACLEAN face wash blemishes ke liye hain, yaani yeh blemishes ko kam karti hain, toh friends yeh face wash use karne ke baad  apke blemishes ekhi bari toh gayab toh nahi hogi, lakin friends ager aapke face par blemishes hain aur ager aap ek aachi face wash kharid na chahete hain toh friends aap isse use kar sakte hain.

Lakin  friends shirif yeh face wash use karne se aapke blemishes remove nahi hogi isske sathe aapko face scrub, face pack yea sab use karni hogi , toh friends overall yeh yeh face wash blemishes ke liye aacha hain.

:::kiya aap khrid shakte hain oshea herbals PAPAYACLEAN face wash::


Toh guys ager apke face par blemishes hain aur aap ek achaa face wash use karni chahati ho toh aap oshea herbals PAPAYACLEAN face wash kharid shakte hain.

Thank you.






Comments

Popular posts from this blog

THE SOUMI'S CAN PRODUCT FAIRE FACE SCRUBBER REVIEW

FAIR AND LOVELY BB CREAM REVIEW/FAIR AND LOVELY BB CREAM AACHEE HAi